Monday 30 June 2014

Be-aitbaar Shakhs tha So WAAR kr Gya


Be-aitbaar Shakhs tha So WAAR kr Gya
Lekin Mere Sha'oor Ko Baidar Ker Gya...
Kuch Mein Ne Ishtiaal Main Shikway Gilay Kiye
Kuch Wo Shikayatain Sar-e-Bazar Kr Gaya...
Pehley Wo Zaat Ki Tameer Main Raha
Phir Mujh Ko Apnay Hatho Se Masmaar Ker gaya
Bichraa Kuch is Ada Se k Ruut Hi Badal Gayi
Ik Shakhs Saray Shehar Ko Veeraan Ker Gya!! ..

Friday 27 June 2014

Murjha k khali Jheel My Girty Huwy Bhi Dekh,


Murjha k khali Jheel My Girty Huwy Bhi Dekh,
Suraj Hun Mera Rang, Magar Din Dhaly Bhi Dekh,
Har Chund Raakh Ho k Bikharna Hai Raah My,
Jalty Huwy Parr'on Sy Urha Hun, Mujhy Bhi Dekh,
Tu Ny kaha Na Tha k Mein kashti Py Bojh Hun,
Aankhon ko Ab Na Dhanp Mujhy Doobta Bhi Dekh,
Tu Hi Bar-Hana Paa Nahi Is Jalti Rait Par,
Tal'won My Jo Hawa k Hain, Wo Ably Bhi Dekh,
Insan Nachta Hai Yahan Putliyon k Rang,
Duniya My Aa Gaya Hai To Is ka Maza Bhi Dekh,

تجھے کھو کر محبت کو زیادہ کر لیا میں نے

تجھے کھو کر محبت کو زیادہ کر لیا میں نے
یہ کس حیرت میں آئینہ کشادہ کر لیا میں نے
مجھے پیچیدہ جذبوں کی کہانی نظم کرنی تھی
سو جتنا ہو سکا اسلوب سادہ کر لیا میں نے
محبت کا سنا تھا ، ذات کی تکمیل کرتی ہے
مگر اس آرزو میں خود کو آدھا کر لیا میں نے
شکستِ خواب پر ہی خواب کی بنیاد رکھنا تھی
در ِ امکان پھر سے ایستادہ کر لیا میں نے
نئی رت میں محبت کا اعادہ چاہتا تھا وہ
پرانے تجربے سے استفادہ کر لیا میں نے
سر ِ ساحل مجھے پیچھے سے اب آواز مت دینا
یہاں سے پار جانے کا ارادہ کر لیا میں نے
نہ راس آئی مجھے جب یہ تری دنیائے ہاؤ ہو
... ہوائے بے دلی ہی کو لبادہ کر لیا میں نے..

مجھے راستوں نے تھکا دیا


مجھے منز لوں کا شعو ر تھا مجھے راستوں نے تھکا دیا
کبھی جن پہ مجھ کو یقین تھا ا نہی ساتھیوں نے د غا د یا
میرا ساتھ پا نے کی آرزو کبھی کتنی تم کو عزیز تھی
مجھے تم پہ کتنا غرور تھا سبھی خاک میں وہ ملا دیا
کبھی اس طرف جو گزر ہوا میری چشم تر کو بھی دیکھنا
تیری بدگما نی کی آنچ نے مجھے کیا سے کیا ہے بنا دیا
نئے خواب بن کے نگاہ میں میری دسترس سے نکل گیا
بنی اس کے پاؤں کی دھول میں مجھے یہ وفا کا صلہ دیا
میں تیری ہی ذات کا عکس تھی تیرا عشق تیرا نصیب تھی
میں تو منزلوں کا نشان تھی مجھے بے نشان بنا دیا
مجھے منز لوں کا شعو ر تھا مجھے راستوں نے تھکا دیا
کبھی جن پہ مجھ کو یقین تھا ا نہی ساتھیوں نے د غا د یا
میرا ساتھ پا نے کی آرزو کبھی کتنی تم کو عزیز تھی
مجھے تم پہ کتنا غرور تھا سبھی خاک میں وہ ملا دیا

Maloom Hota Hay Bhool Gaye ho Shayad...!

Maloom Hota Hay Bhool Gaye ho Shayad...!
Yaa Pir  Kamaaal ka   Sabar   Rakhtay   Ho

Iss Basti ke Ik koochey mein




Iss Basti ke Ik koochey mein , Ik Inshah Naam ka Deewana
Ik naar pe jaan ko Har gaya , mash'hoor hai uss ka afsaana


Uss naar mein aisa roop na tha , jis roop se din ki dhoop dabbey
iss shehar mein kya kya gori hai , mehtaab rukhey gulnaar labbey
kuch baat thi uss ki baatoo'n mein,kuch bhaid they uss ke chitwan mein
wuhi bhaid ke joat jagaatey hain , kisi chahney waaley ke mann mein
ussey apna banaey ki dhun mein , hua aap hi aap se begaana
Iss basti ke ik koochey mein ik Inshah naam tha Deewana


Na chanchal khail jawani ke , na payaar ki al'harh ghaatein thein
bus raah mein unn ka milna tha aur phone pe unn ki baatein thein
iss Ishq pe ham bhi hanstey they , behasil sa behasil tha?
ik roz biphartey sagar mein , na kashti thi na sahil tha
jo baat thi in ke ji mein thi , jo bhaid tha yaksar anjaana
iss basti ek ik koochey mein , ik Inshah naam tha deewana


ik roz magar barkha rutt mein , wo bhaadoon' thi ya sawan tha
deewar pe beech sumandar ke , yeh dekhney waloo'n ne dekha
mastana haath mein haath diye , yeh aik Kagar pe baithey they
youn Shaam hui phir Raat hui , jab Sailaani ghar laot gey
kya raat thi wo - ji chahta hai uss raat pe likhein Afsaana
iss basti ke ik koochey mein ik Inhah naam tha deewana


Haa'n Umar ka saath nibhaaney ke they Ehad bohat Paimaan bohat
wo jin pe bharosa karney mein kuch sood nahi , Nuqsaan bohat
wo Naar yeh keh kar door hui - " majboori Sajan Majboori"
yeh wehshat se ranjoor huye aur ranjoori si ranjoori
uss roz hamein maloom hua , uss shakhs ka mushkil samjhana
iss basti ke ik koochey mein , Ik Inshah naam tha deewana


Go Aag se Chaati jalti thi , Go Aankh se darya behta tha
har aik se dukh nahi kehta tha , Chup rehta tha Gham sehta tha
Naadaan hain wo jo chairtey hain , iss aalam mein deewanoo'n ko
uss shakhs se aik jawab mila , sab apnoo'n ko baigaanoo'n ko
"kuch aur kaho to Sunta hoo'n , iss Baab mein kuch mat farmana"
iss basti ke ik koochey mein ik Inshah naam ka deewana


Ab aagey ka Tehqeeq nahi , go sun'ney ko ham suntey they
uss Naar ki jo jo baatein thein , uss Naar ke jo jo Qissey they
ik Shaam jo uss ko bulwaya , kuch samjhaya bechaarey ne
uss raat yeh qissa paak kiya , kuch kha hi liya dukhyaarey ne
kya baat hui , kis toar hui ? Akhbaar se logoo'n ne jana
iss basti ke ik koochey mein , ik Inshah naam tha deewana


Har baat ki khoj to theek nahi , tum ham ko kahani kehney do
Uss naar ka naam maqam hai kya , iss baat pe parda rehney do
ham se bhi soda mumkin hai , tum se bhi jafa ho sakti hai
yeh apna bayaa'n ho sakta hai , yeh apni Katha ho sakti hai
wo naar bhi aakhir pachtaayi , kis kaam ka aisa pachtaana?
iss basti ke ik koochey mein , ik Inshah Naam tha deewaan

Thursday 26 June 2014

Jall Jao Khaamoshi Say Kari Dhoop Me Lekin

Jall Jao Khaamoshi Say Kari Dhoop Me Lekin 
Apnoo se Kabhi Saya-e-Deewar Na Maango

Ek Ghazal Tere Liye Zarur Likhun Ga,


Ek Ghazal Tere Liye Zarur Likhun
Ga,
Be'Hisab Us Main Tera Qasoor
Likhun Ga, 
Tu Guftaar Ka MaHir Tu Kirdar
Ka MaHir,
Pr Husn ko Tere Tera Ghuroor
Likhun Ga,
Toot Gaye Bachpan K Tere SarE
Khilony,
Ab Dilon Se KheLna Tera Dastoor
Likhun Ga,
Raha Ishq Ka Da'awa Tujhe
Tamam Umer,
Wafa Ki Dehleez Se Tujhe
Mafroor Likhun Ga,
Khud-Sakhta Jo Hai Tera Judai
Ka Faisla,
Aise Hr Iqdaam Ko Na'Manzoor
Likhun Ga, 
Humein Kehne Ki Aadat Nahi
Likhne Ka ShouQ Hai,
Jazbon Ko Apne QaLam Ki
Taseer Likhun Ga,
Tera Wajood, Mera Wajood,
Mujhe Ek Sa Lage,
Pr Tujhe Main Khud Se Bahut
Door Likhun Ga........

Kis Kis Ko Roko Gey Tum Kis Kis Pay Haath Utthao Gey. .


Kis Kis Ko Roko Gey Tum Kis Kis Pay Haath Utthao Gey. . .*
Dil Jab Mujhey Yaad Karey Ga Kaisey Dil Ko Samjhao Gey
Jiss Ki Chaaho Gey Jab Chaaho Gey Woh Chaahat
Tumhein Mil Jaye Gi
Par Jo Pyar Karey Mairi Tarah
Woh Dil Kahan Say Lao Gey
Abhi Lot Aao Abhi Manzil Tum Ko Pukaarti Hai
Kahin Aur Palto Gey To Rastey Tak Bhool Jao Gey
Chorr To Diya Mujhey Par Kabhi Ye Bhi Socha Tum Ne
Abb Kabhi Jhoot Bola To Kis Ki Qasmein Khao Gey
Jab Jab Wafa Ka Zikr Kiya Tab Tab Tum Hans Jaatey Thay
Per Abb Wafa Ka Naam Liya To Hanstey Hanstey Ro Jao Gey. . .*

Dil_e_Naadan Tere Sath Ki Zid Karta Hai,



Dil_e_Naadan Tere Sath Ki Zid Karta Hai,
Kitna Pagal Hai Bina Baat Ki Zid Karta Hai
Chahta Hai Kisi Aag Mein Jal Kar Dekhein
Taptay Sooraj Sy Mulaqaat Ki Zid Karta Hai
Chand Ke Des Ki Pariyon Ki Kahani Sun Kar
Waise Jadoo Ki Tilismaat Ki Zid Karta Hai
Dekh Kar Phool Sy Lipta Hua Khushboo Ka Badan
Uski Chahat Py Sawalat Ki Zid Karta Hai
Kaise Samjhaun Yahan Jeet Mili Hai Kis Ko
Jeet'ta Hai Wohi Jo Maat Ki Zid Karta Haiiiii.!!

جدائی موت ہوتی ہے۔۔۔


سُنو جاناں!
جدائی موت ہوتی ہے۔۔۔
کبھی فرصت ملے تو دیکھنا پتوں کا گِرنا تم
کہ جب یہ شجر سے گِر کر زمین پر آن پڑتے ہیں
تو کیسے روندے جاتے ہیں
ٹھٹھرتی رات کے خاموش لمحوں میں
کسی بے بس"اکیلی" باوفا خاموش لڑکی کی۔۔
کبھی تم سسکیاں سُننا
کبھی قطار میں بچھڑی ہوئی کونجوں کے نوحے پر
نگاہ کرنا
کہ کیسے ایک دوجے کی جُدائی پر
تڑپ کر بین کرتی ہیں
کبھی رخصت کے لمحوں میں کسی کی آنکھ سے
لڑھکتے ہوۓ
آنسو کو دیکھو گے
تو شاید جان پاؤ گے!
جُدائی موت ہوتی ہے۔۔
ابھی تم نے محبت کے برستے بھیگتے موسم نہیں دیکھے
ابھی تم تتلیوں کے رنگ مُٹھی میں چھپاتے ہو۔۔!
ابھی تم مُسکراتے ہو۔۔
سُنو! جاناں
کبھی جو زندگی نے اجنبی ویران راہوں پر
تمہاری یہ ہنسی چھینی
تو پھر آنسو بہاؤ گے!
تم اتنا جان جاؤ گے۔۔۔
جُدائی۔۔۔۔ موت ہوتی ہے

Teri zindagi se asi ina dur chale jaawange...

Teri zindagi se asi ina dur chale jaawange...
Tu dhund naa sakegi asi ena chup jaawange...
Karde rahe pher tu fariyad us rab se...
Par teri kasam asi laut ke naa aawange..
aj tuteya si dil saada,par tenu khabar ni si...
Asi mar jaawange tenu fikar ni si...
Teri yaad mai luk chup anjhuwa bahawaange...
Laut naa sakenge phr ena dur chale jaawange...
aaj ina roye phir has ni sakde...
Tute dil daa haal tenu das vi ni sakde...
Teri khusiyan de layi asi sab kuch lutawa ge...
Phir laut naa sakaange ina dur chale jaawange....

Wednesday 25 June 2014

Wo Mujh se Bichar Kar Ab tak Nahi Roya Ghalib

Wo Mujh se Bichar Kar Ab tak Nahi Roya Ghalib
Koi to hay Hamdard jo usay Ronay Nahi Deta..

Sooraj Ko aankh Bhar Kay Koi Dekta Hay kia ???

Maana Kay Main Nay Ghor  Say Dekha Naa Tumhain
Sooraj Ko aankh Bhar Kay Koi Dekta Hay kia ???

Chal Buliya othay Chalye "Bullay Shah"


Chal Buliya othay Chalye 
Jithay Saaray Annay
Na koi Saadi Zaat Puchay
Naa koi Saanoo Mannay

Wo kon saa kaam he hotaa nahi tere parwardigaar se "IQBAL"

Kyoon Manteen Mangtaa Hay Auroo ki darbaar se Iqbaal
Wo kon saa kaam he hotaa nahi tere parwardigaar se "IQBAL"

Yaad Phir aae he

Aaj ki Rat Bhi Mumkin he Naa so Sakoon !! Mohsin
Yaad Phir Aae he Neendoon ko Uraanay Waali

Hazaroon Saal Jee Leetay agar Tera Deedar na hota

Suprad-e-Khaak Kar Dala Terei Aankhon ki Masti Nay
Hazaroon Saal Jee Leetay agar Tera Deedar na hota

Sach Hee Kaha Thaa Kisi nay Tanha Jeena Seekh

Sach Hee Kaha Thaa Kisi nay Tanha Jeena Seekh
Muhabat Jitni Bhi Sachi ho Saath Chour Jaati Hay

aaj wo hee gul kisi awr kay chaman main khila he

Wo Jis ki Khushboo se Kabhi Mehkta tha mera aangan
aaj wo hee gul kisi awr kay chaman main  khila he 

Tuesday 24 June 2014

اپنے مرکز سے اگر دُور نِکل جاؤ گے خواب ہوجاؤ گے افسانوں میں ڈھل جاؤ گے


اپنے مرکز سے اگر دُور نِکل جاؤ گے
خواب ہوجاؤ گے افسانوں میں ڈھل جاؤ گے

اب تو چہرے کے خد و خال بھی پہلے سے نہیں
کس کو معلوم تھا تم اتنے بدل جاؤ گے

اپنے پرچم کا کہیں رنگ بھُلا مت دینا
سُرخ شعلوں سے جو کھیلو گے تو جل جاؤ گے

دے رہے ہیں تمہیں جو لوگ رفاقت کا فریب
ان کی تاریخ پڑھو گے تو دہل جاؤ گے

اپنی مٹی ہی پہ چلنے کا سلیقہ سیکھو
سنگِ مرمر پہ چلو گے تو پھِسل جاؤ گے

خواب گاہوں سے نِکلتے ہوئے ڈرتے کیوں ہو
دھُوپ اتنی تو نہیں ہے کہ پِگھل جاؤ گے

تیز قدموں سے چلو اور تصادُم سے بچو
بھِیڑ میں سُست چلو گے تو کُچل جاؤ گے

ہمسفر ڈھُونڈو نہ رہبر کا سہارا چاہو
ٹھوکریں کھاؤ گے تو خود ہی سنبھل جاؤ گے

تم ہو ایک زِندۂ جاوید رِوایت کے چراغ
تم کوئی شام کا سُورج ہو کہ ڈھل جاؤ گے

صبحِ صادِق مجھے مطلوب ہے کس سے مانگوں
تم تو بھولے ہو چراغوں سے بہل جاؤ گے

اقبال عظیم

Lamhe Ye Suhane Saath Ho Na Ho,



Lamhe Ye Suhane Saath Ho Na Ho,

Kal Me Aaj Jaisi Koi Baat Ho Na Ho,

Aapka Pyar Hamesha Is Dil Mei Rahega,

Chahe Poori Umar Mulakat Ho Na Ho..

Na Kabhi Muskurahat Tere Hothon Se Duur Ho..

Teri Har Khwahish Haqiqat Ko Manzoor Ho..

Ho Jaye Jo Tu Mujhse Khafa..

Khuda Na Kare Mujhse Kabhi Aisa Kasoor Ho..

Kab nahin naaz uthaye hain tumhare mene, Wasi Shah

Kab nahin naaz uthaye hain tumhare mene,
Dekho aanchal pe sajaye hain sitare mene,
Wohi lamhaat asaasa hain mere jeevan ka,
Jo tere qurb mein lamhaat guzaarey mene,
Roz aate hain mujhe yaad tere zulm-o-sitam,
Roz khanjar keyi seeney mein utare mene,
Har bahana tera aankhon mein saja kar rakha,
Apne seeney se lagaye tere laaray mene,
Meri pooron se mehek ati rahi hai din bhar,
Jab bhi khawbon mein tere baal sanwarey mene,
Teri chokhatt pe keyi baar huyi mujh ko shikast,
Teri dehleez pe aansu keyi haarey mene,
Meri awaaz akeli hi palat kar aayi,
Jab musibat mein kabhi yaar pukarey mene..

Btao konsi Bahaar laya hai January...

Btao konsi Bahaar laya hai January...
Tum sab khty thy bohat vayraan hai December...

Wafa ke shish mahal mein saja liya main ne


wafa ke shish mahal mein saja liya main ne
wo ek dil jise pathar bana liya main ne
ye soch kar ki na ho tak mein khushi koi
gamon ki ot mein khud ko chupa liya main ne
kabhi na khatm kiya main ne roshani ka muhaz
agar chirag bujha, dil jala liya main ne
kamal ye hai ki jo dushman pe chalana tha
wo tir apne kaleje pe kha liya main ne
‘qateel’ jisaki adavat mein ek pyar bhi tha
us aadmi ko gale se laga liya main ne

Monday 23 June 2014

Tamannaon ke bahalave mein aksar aa hi jate hain


Tamannaon ke bahalave mein aksar aa hi jate hain
kabhi hum chot khate hain kabhi hum muskurate hain
hum aksar doston ke bevafai sah to lete hain
magar hum janate hain dil hamare toot jate hain
kisi ke sath jab bite hue lamhon ke yaad aayi
thaki aankhon mein ashkon ke sitare jhil-milate hain

Dua Salam Kar Jana


Tum Jao Humse Door To Aik Kaam Kar Jana
Kuch Pal Apne Hamare Naam Kar Jana
Ager Aa Jaye Maut Humein Tere Aane Se Pehle
To Aa Kar Mere Janaze Ka Ehtaram Kar Jana
Na Rona Is Kadar Ke Taklef Ho Humein
Maut Ko Bi Mazak Samjh Kar Anjaan Ban Jana
Main Ek Din So Jaon Ga Sada Ke Liye
Phir Mujhe Bewafa Keh Ke Badnam Kar Jana
Jo Guzro Meri Qabar Se To Nazarein Na Pherna
Mehman Hi Ban Ke Dua Salam Kar Jana

Meri “Ujari” Hui Bsti Ko Yunhi “Sunsaan” Rehne Do,

Meri “Ujari” Hui Bsti Ko Yunhi “Sunsaan” Rehne Do,
“Khushyan” Raas Nhi Aatin Muje “Preshan” Rehne Do
“Zeenat” Nhi Bnta To Na Ban Dil K “Aangn” Ki
Par Apne “Aashyane” Tak Meri “Uraan” Rehne Do
Teri Galyon Mein Yun Phirna Agr “Nadaani” Hy To Sun
Main “Danishmand” Nhi Bnti Muje “Nadaan” Rehne Do
Nhi Main Mangti Tuj Se “Pholon” Se Bhri Tehni,
Jo “Jlta” Hy Mere Dil Me Wo “Aatishdan” Rehne Do,
Teri Hsti Me Mana Hum Bsera Kr Nhi Skty,
Par Apni zindgi me bun k mehman rehny do..?

Kon Poochta Hai Pinjre Mein

“_Kon Poochta Hai Pinjre Mein Band Panchio’n Ko_”
“Mohsin”
“_Yaad Wohi Aate Hein Jo Urr Jate Hein_” . . .

Tumhara Nam Likhnay Ki Ijazat Chin Gaee Jab Say

Tumhara Nam Likhnay Ki Ijazat Chin Gaee Jab Say 
Koi bhi lafz Likhta Hoon To Ankhain bheeg Jati Hain

me tera hamsafar raha hoon

Mujhe Akela Wafa ki Manzil main chor kar door janay walay
tujhay to ye bhi khabar nhi hay k me tera hamsafar raha hoon

Aakhri Baar Milna e Us Se Bicharnay Kay Liay

Aakhri Baar Milna e Us Se  Bicharnay    Kay   Liay 
Sochtaa hoon .. Mulaqat Mout Tak Multawi kar doon

Sunday 22 June 2014

Aik “Mulqaat” kro hum se “Enayat” samjh kar,

Aik “Mulqaat” kro hum se “Enayat” samjh kar,
Har cheez ka “Hisaab” denge Hum “Qayamat” samjh kr,
Meri “Chahat” pe kbi “shak” na krna,
 Hm pyar b krte hy “Ebadat” smjh kr,
Mere Wajood k Zre Zre pet era “Naam” likha hay,
 Khud ko rakha hay “sambhaal” k teri “Emanat” samjh kr,
Rahe Ishq me be-wafa kon hua hay bhala,
Kabhi karna “Insaaf” khud ko “Edaalat” samjh kr,
Kabhi na meri Aankhon k samne se “Ujhal”
hona  Tera “Deedar” b krte hay “Ziarat” samjh kr.

Apni Dharkno se kuch aisay mera naam lo,


Apni Dharkno se kuch aisay mera naam lo,
Ye wqt ruk jaye is Lamhay ko thaam lo,
Teri Aankhon me Jhalak he aesi mere pyar ki,
Saahil pe jese Dhalti haseen shaam ho,
Lafzon se hota nahi izhaar humse pyar ka,
Bas meri Aankhon me Dekh kr khud ko pehchan lo,
Jese tarasta ha sehra shabnam k chooney ko wasi,
Kabhi wesi Rab se tm b mujy maang Lo.2)   
Apne Dil ki Bat unse keh nahi sakte,
Bin kahe B reh nahi sakte,
Ay Khuda Aysi Takdeer bana,
Wo hum se khud aa kar kahein
 “ Hum ap k bina reh nahi sakte”.

Dhalne Lgi Hai Raat Wasi

Hijr Ka Tara Doob Chla Hai Dhalne Lgi Hai Raat Wasi
Qatra Qatra Bars Rahi Hai Ashko Ki Barsat Wasi
Tere Bad Ye Dunya Wale Muj Ko Pagal Kar Dain Ge
Khushbo Ke Dais Mai Muj Le Chal Apne Sath Wasi
Yun Hi Chup Ki Muhr Lga Kar Kab Tak Gum Sum Betho Gay?
Khamoshi Se Dam Guta Hai Chero Koi Baat wasi
Choro Wasi Ab Us Ki Yaadain Tuj Ko Pagal Kar Dain Gi
Tu Qatra Hai Wo Darya Hai Dekh Apni Aoqat Wasi


Sari Raat Ki Jagi Aankhein – Ghazal By Wasi Shah

Sari Raat Ki Jagi Aankhein
College Mein Kya Parhti Hon Gi
Yunhi Khoye Dil Hi Dil Mein
Jane Kya Kya Karti Hon Gi
Sari Raat Ki Jagi Aankhein
Koi Bole Kaan Na Dharna
Koi Hile Tu Ik Dam Darna
Koi Dekhe In Ka Barhna
Apne Aap Se Larti Hun Gi
Sari Raat Ki Jagi Aankhein
Apni Kitabain Parhte Rhena
Us Ki Batain Karte Rehna
Us Ki Yaadain Gharte Rehna
Jeete Jeete Marti Hun Gi
Sari Raat Ki Jagi Aankhein
College Mein Kya Parhti Hon Gi

Jaa kisi aur ka honay ki Ijazat hay Tujhe.

Haan Mujhe Rasme-e- Muhabbat Ka Saliqa hee nahi
Jaa kisi aur ka honay ki Ijazat hay Tujhe.

Aaj Insan Kaa Chehra to hay Sooraj ki Traha

Aaj Insan Kaa Chehra to hay Sooraj ki Traha 
Rooh Main Ghoora Andheray kay Siwa Kuch bhi nahi

Tezz Barish Me Kabhi Hawaoon Me raha

Tezz Barish Me Kabhi Hawaoon Me raha 
Ik Tera Zikar tha Jo Meri Sadaoon Me raha 
Kitnay Logon se Mere Gehray Marasm hain Magar
Tera Chehra Hee Faqat Mere Duaaon Me Raha

ik shaks saaray shahr ko weeran kar gaya

Bichra kuch is ada se k rut hee badal gae
ik shaks saaray shahr ko weeran kar gaya

Duaa Apnay liay Me ne Kabhi Mangi Nhi koi

Duaa Apnay liay Me ne Kabhi Mangi Nhi koi
Tere Khatir Main Hath Apnay Utha Kar Dekh Leta ho 

Poet: Hafeez Shahid 

Us ki Aankhon ko kabhi Ghour se dekha hay Faraz


Us ki Aankhon ko kabhi Ghour se dekha hay Faraz
Sonay Waloon ki Tarhaa Jagnay waloon Jesee

Meri Ankhoo nme Tum saaf Nazar aatay Ho..

Ab to Shayed hee Mujh se muhabbat Karay Koee
Meri Ankhoo nme Tum saaf Nazar aatay Ho..

Saturday 21 June 2014

Waqt Tezi Se Badal Gaya

Waqt Tezi Se Badal Gaya

Aur Tum

Waqt Se Bhi Tez Niklay..

AN ODE TO LOVE


Love resides in the temple of a loving heart,
Both they live together in a room very small,
Eat, drink, dance, play and pray.
Like birds, lilies, sing prayer in silence calm.
When divine romance starts, light shines,
Soul baths in love, spiritual discourses start.
When fiery desire of love illumines the shrine,
Dressed up in a beggars’rags, lover sings under stars.
No one can slay love, none can burn love,
No one can drown love, none can destroy love.
O love ! Birds with broken wings cannot understand you.
O dream! Wanderers of barren fields don’t know you.
O soul! Kissing lips touch and depart,
Lovers’ names remain eternal on lips by far!

Dushmanoo se Muhabbat

Dushmanoo se Muabat Honay Lagi Mujh ko
Jese Jese Apnoon ko Azmatay Chalay Gae

Ghar Bana Kar Mere Dil main wo Chor Gaya

Ghar Bana Kar Mere Dil main wo Chor Gaya 
Na Khud rehta He Na aur Kisi ko Basnay deta he

Us Ki Yadain

Us Ki Yadain , Lambi Barsaatain aur Thandi Hawa
Ah Mah-e- Sitambar  Too December se bhi Qatil Nikla

koi baynam see kasak reh gaee

koi baynam see kasak reh gaee
khuwab gum gushta ki mehk reh gae

door tak dekhti rahi nazrain
manzar gaoon ki sarak reh gae

Agha jan Agha

main dekhta rehtaa hoo kay kia soch rahae ho.

Chup chaap sar-e- shahr-e- wafa soch rahe ho
lagta he koi apni khata soch rahay ho 
tum sochtay rehtay ho kay kia dekh raha hoon 
main dekhta rehtaa hoo kay kia soch rahae ho.

Tujhat Talash he Jis Sakhs ki wo marr bhi gayaa...

Phati Phati hooe aankhon se yoon naa dekh mujhay
Tujhat Talash he Jis Sakhs ki wo marr bhi gayaa...

Kabhi Ansu Kabhi Rona


Jab Bhi main tere samne hota hun.
Na Jane Kyon Aisa Lagta hain.
Ye waqt Yanhi tham jaye.
Zamana Na Jane Kyun Itna Tez Bheta Hain.

ab Bhi Ata hain tera naam mere naam ke sath,
Log Jal Jal Kar Khakh Hue Jate Hain.
Udtha Hain Dil Se Jaise Dhuwan.
Bus woh Chone se hi Rakh hue Jate hain.

Na Jane Kyon ek baat mere dil main kab se atki hain.
Sayad wo tum hi tu jo ajj tak mujh se lepti hain.
Nahi sone deta ye khalipan mujh ko.
Kabhi anso…khabi rona, khabhi sisiki hain